Earn Money Online Without Investment


Adsense Ads Lagana urdu



               Adsense Ads Lagana - ایڈسینس ایڈز لگانا

 

                    


Adsense ki team jab apki website (Blogger) ka review ker le gi to apko aik email ke zariye inform kere gi bas google adsense ki account confirmation mail ke baad ap ko google adsense ka aik account de dia jaye ga bas wahan ap kisi email account ya gmail account ki tarhan is link par ja kar http://www.google.com/adsense apna email aur password dene ke bad login ho jain us ke bad ap ke samne apka adsense panel aa jaye ga jahan apki website ya blogger ke earn ki gai earning show howa kere gi bas wahan upar home tab ke sath my ads ka tab bhi ho ga bas my ads ke tab par click kerain . My Ads ke tab par click kerne ke baad apke samne aik New Ad Unit ka tab aa jaye ga bas is tab par click ker dain . is tab par click kerne ke bad apke samne aik naya page aa jaye ga jahan aik form fil karne ko kaha jaye ga bas upar Name field main apne ad ka nam likhain ad ka nam ap kuch bhi rakh sakte hain online-make-money-pk 468x60 ad naam rakhne ke baad apne ad ka size select kerain ad sizes dekhne ke liye is link par click kerainhttps://support.google.com/adsense/bin/answer.py?hl=en&utm_medium=link&utm_campaign=ww-ww-et-asfe_&utm_source=aso&answer=185665is link par click kerne ke baad apke samne ads ke mukhtalif sizes aa jain gay bas ab ap apni website par jahan ad lagana chahte hain us jagha ke mutabik adsense ad ka size choose kerain aur peechle form main diye gaye sizes ki field main ad size select kerain .  Ad size ke neche apko ad type ki field milay gi is field ka matlab yeh hai ke kia ap apni website par sirf text ads lagana chahte hain ya ke image ads lagana chahte hain yahan ap dono kisam ke ads type bhi select ker sakte hain mere nazdeeq apko Text & Image/Rich Media ads yani dono ads type wali option ko select kerna chahiye. Ad Type ke neeche apke samne Custom Ad Channel ki option aye gi bas apne channel ka Create New Custom Channel ke link par click ker ke apne is ad ka koi channel bana lain channel ka maqsad yeh hota hai ke ap yeh ad apni website ke kis section main laga rahay ho ap aik channel mukhtalif ads ke liye bhi use kar sakte hain bas channel create kerne ke bad Add par click kerain aur save kar dain . Ab is option ke neeche apke samne do tabs (Buttons) nazar aye gay jis main aik par Select Ad Style aur dosre par Use Custom Settings likha ho ga bas ager ap simple ad apni website par lagana chate hain to is option ko chor dain aur ager ap apne ad ki background aur text ko apni website ki background aur text se match karna chate hain to Use Custom settings par click kerain aur apni marzi ke mutabik apna ad tiyar kerain . Bas akhir main apne is ad ko Save ker lain.
Ab apka ad apki website par lagne ke liye tiyar hai ab phir upar My Ads tab (Button) par click kerain ab is tab par click kerne se apke samne apka tiyar kia howa ad aa jaye ga jis ke neeche apko get code ka link nazar aye ga bas us link par click kerain. Jab ap get code ke link par click ker dain gay to apke samne aik chotti window open ho gi jis main codes (Script) ho ga bas usay copy ker lain aur apni website par jain ager ap ki website wordpress par banai gai hai to plugins main ja ke ad code widget install ker lain aur widget main ja kar ad code widget main is script ko paste ker dain bas apka ad show ho jay ga . Ab ager apki website Google Blogger par banai gai hai to ap blogger login kerne ke bad layout par jain lay out main upar apko add widgets ki option nazar aye gi bas us par click kerain . Add widgets par click kerne ke bad apke samne mukhtalif widgets show hoon gay bas ap wahan adsense widget search kerain aur usay apne blog par add ker lain apna account login dain bas apke ads google blogger par show ho jain gay ap in ads ki settings widgets panel par aur is widget ki setting main ja kar change bhi kar sakte hain .
Ager apki website html hai to jist software main apne website banai hai us main usay open kerain jaise frontpage bas website open hone ke baad jahan ap ad lagana chate hain wahan cursal ko la ker click karain us ke baad neeche code ke tab par click ker dain aur kisi cheez ko cheere bina paste ker dain aur wapis preview par aa jain aur save ker dain ab page ka preview lain apka ad show ho jaye ga jahan apne isay paste kia the bilkul usi jagha par .
Note : Google adsense ka naya ad activate hone main aik se do ghate leta hai is liye ager apne ad naya create kia hai aur wo show nai ho raha to perishan na hoon balke wait kerain .
Is topic ke baray main koi bhi sawal poochne ke liye isi topic ke neeche diye gaye REPLY ke link par click karain aur apna sawal type ker ke post ker dain apko apke sawal ka jawab jald se jald de dia jaye ga .

Post a Comment

Thank for feedback u

 
Top